Tuesday, July 31, 2012

CHINGARI


CHINGARI
SHAMMA KO JALNE KA MAUKA TO MILNA CHAHIYE
EK CHINGARI SE HI SAHI -2        KAHI AAG TO JALNI CHAHIYE-2
IS RAAT KE MUKHDE SE PALLU HATAKAR
EK SUBAH KI AAS TO JAGNI CHAHIYE
KAHI AAG JALNI CHAHIYE -2


ME EK AFSANA HU, PARWANA HU, PEGAMBAR KA YUVA SHAKTI KA
RAMLILA KE GALIYARO SE HI SAHI
PAR AGAR HO KAHI AAG-2
TO WO AAG JALNI CHAHIYE-2

TUNE TO DEKHA HE MERA YE RANG HIJRAT SE
KABHI ZAMIN PE UTAR KE DEKH MERA DHANG FURSAT SE
ME EK ANGARA HU SHAKHO PE RAHTA HU ME NAFRAT KI
KABHI IN SHAKHO KO MOHABBAT KI BARISH ME BHIGO TU DEKH
EK ARMAAN HE SINE ME KI MAJHAB MITA DENGE
IS ARMAANKE AFSAANE KO CHINGARI LAGA TU DEKH
EK CHINGARI SE HI SAHI
KAHI AAG LAGA TU DEKH-2

PANI KI TARAH TU CHAL IS AGNI KE TAT PE
RANA KI TARAH TU LAD APNE ATMASAMBAL SE
MENE KAHA HE-2 AAG TO HUM HAR JAN LAGA DENGE
TU EK CHINGARI TO LAGA IS GAHRE SAMUDRA ME-2



IT’S A SELF COMPOSED
POEM
BY
SaURABH
PALIWAL